ZINDA HAI LYRICS – Tiger Zinda Hai |Sukhwinder Singh |Raftaar |Salman Khan |Katrina Kaif



Movie :Tiger Zinda Hai
Singer: Raftaar, Sukhwinder Singh
Lyrics: Irshad Kamil, Raftaar
Music: Vishal-Shekhar

Zinda Hai Lyrics: Sehra saahil jungle basti bagh woh
Shola shola jalta charaag woh
Ho parvat paani aandhi ambar aag woh
Shola shola jalta charaag woh

Har kaali raat se ladta hai woh
Jalta hai aur nikharta hai
Aage hi aage badhta hai
Jab tak zinda hai

Kahin par toofaan abhi zinda hai
Jazbon mein jaan abhi zinda hai
Saagar khamoshi mein bhi
Saagar hi rehta hai
Leharon se kehta hai
Woh zinda hai

Bheetar toofan abhi zinda hai
Jazbon mein jaan abhi zinda hai

Raftaar Rap:
Raaton ke saaye mein hai woh chupa
Dushman na dekhega kal ki subah
Kahaan se aaya wo kahaan hai jaata
Na mujhko pata hai na tujhko pata

Haan wo nihatha hi shatru karta nirast
Bhes badalta wo jaise ho waastra
Jadse ukhaadega bheetar se maarega
Uska irada hai Brahma ka antar wo gyani hai

Hai swaabhimani wohi
Tu jaanta uski kahani nahin
Zinda hai zinda rahega wo
Jab tak bhi marne ki usne hi thaani nahin

Ghairat gussa chahat aur malaal woh
Ziddi ziddi ziddi khayal woh
Hai jung bhi hai woh hamla bhi aur jaal woh
Ziddi ziddi ziddi khayal woh

Sholon ki aankh mein rehta hai
Har sachi baat woh kehta hai
Laawa sa ragon mein behta hai
Jab tak zinda hai!

Bheetar toofaan abhi zinda hai
Jazbon mein jaan abhi zinda hai
Saagar khamoshi mein bhi
Saagar hi rehta hai
Leharon se kehta hai
Woh zinda hai (x2)


TAGS:TIger Zinda Hai, Salman Khan, Katrina Kaif, Sukhwinder Singh, Raftaar.

Post a Comment

0 Comments